Saturday, July 01, 2006

bahke gumsum andhere....

aankhen band ...seele labon par
tumhara nam fisalne laga
sham ke sanwle badan par
andhera ruk ruk ke dhalne lagaa


rooh ko chuti rahi sard hawa
til til ke sasen aag see jalti rahi ....
chhhat par mujhe akela pa
rah rah ke teri yadein machalti rahi ...


kasti hii ja rahi thi aasma ki baahein..
kasmasaa jate the taare
un bahke hue andheron me
main gumsum wahan thi
tumhare kandhon ki nahin..
.. apni khamosh khahishon ke sahare