Thursday, February 02, 2006

aakhiri panna

aari tirchhi murtiyan mitti ki
haathon ki aari tirchhi rekhaon par
rengti hai,girti hai,samhalti hai...

chhitraa hua maddham maddham akelapan
ahsaan rishton ka hota hai
jarjar shabdon ki buniyad par
tanha boond bhi aanhon me nahin thhaharta hai

har pahloo jeevan se jura
meri sans par hi tikta hai
kyun nahin koi faisla kabhi
mere hakk me bhi hota hai
ek kahani ban jati hai
na koi anjaam hota hai
bas intezaar ki syahi me likha
iska aakhiri panna hota hai