udhaar ke hai kuchh pal mere paas
yun katraa sansen milti hai.
fanaa ummidein mitti ki dher si
aangan me bikhri rahti hai
hai khalipan deewaron par
nal se pyaas ki boondein hi tapakti hai
sawera kab hua thha
siharti raat hi khidki se chhanti hai
do sard nistej aankhen
aur ek tasveer hai mere paas
darwaje ke chaukhat par sisakti hai
dam todti meri har aas
aane chahte ho mere ghar
chalne chahte ho mere saath
kahan tak.............??
dhuaan dhuaan si udasi
band galiyan hai har taraf
patthar ho jayengi aankhen tumhari
chhod do mujhe dekhna is tarah..................
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment