Wednesday, December 28, 2005

tooti shakhen...

udasiyon ko samet kar
neend ke sirhaane late kar
apni aankho me band shahar
ko aankhen band kar taakti hun
un mehmaan lamhon ke asar me
sab bhoolna chahti hun

koi raasta jo hota mujhse shuru
to ruke kadmon se bhi us par chal parun
gulmohar kii daali se dhake ek ghar
ki khirkiyon se kohre ko hataana chahti hun

hisaab puraana hai mera zindagi se
kiston me saans lene ke byaaj chukane hai
gaathon se bhari ummid ki rassi se
gulmohar ki tooti shakhon ko baandh kar
us par sar rakh kar ab sona chahti hun...........

1 comment:

Vikash said...

kiston me saans lene ke byaaj chukane hai
gaathon se bhari ummid ki rassi se
gulmohar ki tooti shakhon ko baandh kar
us par sar rakh kar ab sona chahti hun...........


I'm speechless.